DARSE JAMIUT TIRMIZI – CHAPTER : ILM DAYS: 925/ HADEES NO :2881

Hazrat Sayyiduna Abdullah Bin Umr Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: Logo tak meri Ek Hadees kyu Na ho Bayan karo,Aur Bani Israeel ki Rivayat Bayan karo koi Baat Nahi,lekin Jo koi Muj per Jhoot kahe to wo chahiye ke Apna Thikanah Jahannam me talash karle.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No: 2881),

Dars : Hadees e Paak ka paigham Aam karna ye Saari Dunya walo keiye Rahnumay e Hayat hai,aur 2 jahan me kamiyabi ki Zamanat hai,lehaza Hadees ko Bayan karo to sahi tareeqo se Bayan kare warna Pata Na ho to mujhe Maloom Nahi khule Alfaaz me kah de yahi eimandari hai,

■□ Bani Israeel ki Motabar Rivayato ko Bayan karne ki Ulama e kiram ne ijazat di hai,Fazayi wa Manaqib me Bayan karsakte hai,lekin Masaayil wa Ahkaam me wo Daleel Nahi Banti hain.

Allah hame ILM ko Aam karne ki taufeeq ata kare..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT,TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA).

You might also like