DARSE JAMIUT TIRMIZI – CHAPTER : ILM DAYS: 927/ HADEES NO :2884

Hazrat Sayyiduna Abu Saeed Badri Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: Ek shaks Apke Paas Sawari keliye Aye to aapke paas sawari Na Paye to aap unhe Doosre shaks ke paas Bhej diye to waha wo sawari pa liye,phir aapne Farmaya: JO shaks Bhalayi ki Rahnumayi karega to uskl Bhalayi karne wale ke Barabar Ajr diya jayega.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No:2884),

Dars : Ye Dunya Daarul Amal bhi aur Daaril Ajr bhi hai,yaha Neek Kaam kiye to uska Sawab aur agar Bura Kaam kiye to uska Azab dono Barabar hote hai,Yani Neki ka Badlah Neki aur Badi KA Badlah Badi hota hai..!!

●○ Kisi ko Nek Kaam ki Rahnumayi ya Dawat Nahi de sake to kam se kam unhe Burayi ki Rahnumayi ya Burayi ki Dawat bhi to mat do wo kaise ?!

Wo is tarah ke Aaj kal Social Media per Ghair Zaroori Dunyavi status ya Music aur songs ko apne Social media All accounts me rakhne se Doosre log un Be Hoodah cheezo ko dekhenge to aapki wajah se wo unko Dekh rahe hai,to uska Azab usko aur aapko bhi mielga…Allahu Akber Kabeera..

Lehaza ye Ghair zaroor activities se bache to sab keliye behter hoga.

Allah hame Neki ki dawat dene wala Banaye..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA).

You might also like