DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : JANAZAH , DAY : 200,

Hazrat Harisah Bin Muzrib(raziyallahuanhu) Pet (stomuch) ki Beemri me mubtala hogaye,Jis se Unko Badi Takleef hoti ,aur unke paas ilaj keliye Dirham(Paise)bhi Na the,to aapne kaha :Agar Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) Maut ki Tamanna karne se Na rokte to mai zaroor Maut ki Tamannah karta .
(Vol/1,H,No :986),
Dars : Yani…Islam me kisi museebat ya Takleef ki wajah se Maut ki Tamnnah karne ki Ijazat Nahi hai,kyu ke Museebat ho ke Sahoolat,Khushi ho ke Gham,Gharz ke saari Cheeze Allah ki Janib se hoti hain,
lehaza Maut aur zindagi bhi Allah ke muqarrarah waqt per hi hote hain,to uska waqt se pahle Mangna aur Tamannah karna Taqdeer ki khilaf wardi,aur Allah se Shikayat karna lazim ayega,jo ke Sahi Nahi hai,
Haan,Mustaqbil(Future) me Kisi Nek Niyyat se Kisi Khas Maqam per jaise “MADEENAH YA MAKKAH ” Barkat wale Shahro me Maut ki tamnnah karna husoole Barkat wa Maghfirat ki Niyyat se ijazat hai,kyu ke isme Shikayat Nahi,Allah ki Inayat ki Niyyat hoti hai,aur in shahro ke kayi fazaayil Quran wa Hadees me aye hain,
Isi tarah Deen ki Khidmat karte huve Marne ki tamnnah rakhne ki bhi ijazat hai,kyu ke isme Nek Fa’ali (Nek Niyyati) hai.

You might also like