DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : JANAZAH , DAY :202,

 

Hazrat Abu Saeed Khudri(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab Tum me se kisi ke Maut ka waqt Qareeb aajaye to Us Shaks ko KALIMAH ki Talqeen karo.
(Vol/1,H,No :992),
Dars : Ab ye Hukm Marne wale ki Kaifiyat wa Hakat per Munhasir hoga,
■■ agar usko Har ek ki Pahchan ho aur wo Baate bhi kar raha ho to ab Wazeh Alfaz me “LA ILAHA ILLALLAH MOHAMMADUR RASOOLULLAH ” kahne ko kahsakte hain,
●● Agar Us Shaks ki Halat Munasib Na Ho,Kahuff aur Be Chaini Zahir horahi ho to Unko kuch bhi Na kahe Balke Khud hi Buland Awaz me” KALIMAH ” padhte rahe,
☆☆ Agar Kisi ko Hosh bhi Na ho,aur wo kisi ko Dekh bhi Na rahe ho,Aankhe Bandh ho to Ab Unke Paas Sab Ahistah Kalimah padhte rahe,aur Surah Yaseen ki Tilawat karte rahe to ziyadah Behter hai,Take unhko Roohani Madad mil sake…
Allah Sabko Rahat wa Pakeezgi ki Hakat me Maut Naseeb farma aur Marte waqt Kalimah Naseeb farma..Ameen

You might also like