DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : JANAZAH , DAY :203,

 

Hazrat Umme Salamah(raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya: Jab koi Beemar ho ya Kisi ki Maut (inteqal) hojaye to Uske Bare me Bhalayi ki Baat aur Dua karo kyu ke us waqt Tumhari Dua per Farishto ki Ek Khaas Jamat “AMEEN” kahti hain,
Phir Jab Hazrat Abu Salamah
(raziyallahuanhu) ka inteqal huva to Aap ne Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ko unke inteqal ki khabar di to Aapne unke Haq me “MAGHFIRAT AUR BEHTER AAKHIRAT”ki Dua farmaye.
(Vol/1,H,No : 993),
Dars : Momino ,Musalman Bandah jitna bhi Bura kyu na ho Wo Allah ka hi Bandah hot hai,Ab Uske Bure Aamal ka Hisab usko khud hi dena padega,jiski “Saza”Ya Allah ke Fazl se “Jaza” dono me se koi ek zaroor milegi,insha Alkah
to ab uske Marne ke Baad Uske kaamo per Coments ke bajaye Dua kare to uskeliye bhi Behter hai,aur Khud ke liye bhi Behter hai,
Haan,agar wo Zindagi me Burayi kar raha hai,to usko rokne aur Ache Andaz me Naseehat karne ki koshish karni chahiye,
Allah Burayi se bachne ki Taufeeq ata kare..Ameen.

You might also like