DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : JANAZAH, DAY :206,

 

Hazrat Ayisha Siddiqah(raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,Jab Hazrat Usman Bin Mazwoon(raziyallahuanhu) ka wisal (Inteqal) huva to Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ki Aankho se Aansoo Jari the,aur Aapne Unke Peshani Per Bosa(Kissing) diya.
(Vol/1,H,No :1005),
Dars :Yani kisi Khaas Ristehdaar,Dost,etc.. ke inteqal per Aankho se Aansoo ka Jari hojana ek Firtri Cheez hai,kyu ke Zindagi ke kayi Din(Days of Life) unke Saath Guzare huve hote hain,kayi Yaaden unse Wabastah hoti hai,to us waqt Shikayato ke Baghir Aansoo Nikaalna/Nikalna, ya Rone ki Ijazat hai,
●● Allah ke Faisleh per Shikayat karna,Seene per Haathe Mar Mar kar Rona,aur Apne Kapde Phad lena etc…iski ijazat Nahi hai,
■■ Mayyit ki Peshani per Bosa(Kissing) karne ki bhi ijazat hai,kyu ye Shafaqqat wa Rahem keliye hota hai,ye chote Bacho ya Baap ka Bete yani Mard ka Mard ke liye Ijazat hai,jab ke Ghair Mahram Mayyit ko Dekhne ki bhi ijazat Nahi hai.

You might also like