DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : JANAZAH, DAY : 211,

 

Hazrat Mugheerah Bin Shubah
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jis Mayyit per Nauha(Shikayate etc.. Karte huve rona) kiya jata hai,to us tarah Rone ki wajah se Usko Qabar me Azab Diya jata hai.
(Vol/1,HNo :1016),
Dars :Qareebi rishtedaro aur Azeezo ke inteqal per Fitrati(Naturallay) taur per rona Aahi jata hai,Aansoo nikal hi jate hain,to usko Mana nahi kiya gaya hai,Balke Allah se Shikweh wa Shikayate karte huve Rona Jayiz nahi hai,us se Mayyito ko Azab hota hai,apne Marhoomeen ko Azab Na dilane ho to Phir Nauha karna chod dena chahiye..

You might also like