DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : JANAZAH, DAY : 218,

Hazrat Uqbah Bin Aamir(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha:Rasool e Akram

(Sallallahualihwasallam) Hame 3 Waqto me Namaz e Janazah Padhne aur Mayyit ko Dafan karne se Mana farmaya,
1) Sooraj Nikalte waqt Jab Tak ke wo Tulu(rising) Na hojaye,yani Jab Sooraj poori tarah nikal jaye to ab ijazat hai,
2)Sooraj Jab Dopahar me Aasman ke Beecho beech ho,Yaha tak ke Wo Beecho aasman se Hat jaye,
3) Jab sooraj Doob raha ho,yaha tak ke wo Poori tarah doob jaye .
(Vol/1,H,No :1047),
Dars : Ye 3 awqaat me Namaz e Janazah padhna aur Mayyit ko Dafan karna “MAKROOH” hai,
Baaz Ayimmah e Kiram ne In Awqaat me Sirf Namaz e janazah padhne aur Mayyit ko Dafan karne ki ijazat diye hain,Doosri Namazo ki ijazat in waqto me Nahi diye,
Kyu ke Namaz e Janazah Dua ke Hukm me hoti hai,
■■ HIKMAT …in 3 waqto me Namaz se kyu roka gaya ???
Jawab :Ye 3 Awqaat me Doosre Batil Mazhabo wale Sooraj ki Pooja karte hai,aur Hadees me aya hai,ke in awqaat me Shaitan Sooraj ke Nikalne aur Doobne ke maqam per apni Seenghe Zahir karke ta her jata hai,aur jab log Pooja karte hain,to Khush hote rahta hai,to Is Shirk e Khafi(Posheedah Shirk) aur Shirk ke Shubah se bhi Bando ko Mahfooz karne ke liye Allah ne in awqaat me Apni Bandagi se bhi Mana kiya hai,
to Dosto Dunya me Sab se Bada GUNAH *SHIRK* hai,Yani Allah ke Saath kisi ko Shareek karna…Allah hum sabko Shirk se Mahfooz kare..ameen.

You might also like