DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : JANAZAH , DAY : 222,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallm) ne farmaya : Jo Bandah Kisi Doosre Bandeh(Mayyit) ki Namaz e Janazah Padhta hai,to usko 1 Qeerat (Ek Qisam ka Measurement hota hai) ke Barabar Sawab Diya jata hai,aur Jo Bandah Namaz e Janazah bhi padhe aur Mayyit ke Dafan karne tak Hazir rahe,to Usko 2 Qeerat ke Barabar Sawab diya jata hai.Phir Farmaya : 1 Qeerat 1 Uhud Pahad(Holy Mauntain is In Madeenah) ke Barabar hota hai
(Vol/1,H,No :1057),
Dars :Subhanallah,Kiya Mohabbat wa Shafaqqat ki Taleemat wala Mazhab hai Deene islam,Ke :
●● Ek Bandah e Momin Ka Inteqal bhi hota hai,to Allah uski bhi Ahammaiyyat batate huve uski Namaz e janazah aur Tadfeen me Shamil hone wale ko 1 aur 2 Qeerat yani 1 Aur 2 Uhud Pahad ke barabar sawab dene ka wada farma raha hai,
Ghaur kare ke Namaz e janazah ke bare me saare Ulama e Kiram ka Ittefaq hai,ke wo Mayyit ke Haq me Sirf “DUA” ke Hukm me hai,lekin ek Momin ki Shaan wo Azmat marne ke Baad bhi Allah ke Paas rahti hai,isliye Allah is bandeh ko jo Mayyit keliye Namaz e janazah ki soorat me sirf Dua karne per hi Uhud ke Barabar sawab deraha hai,
Ye Hai Deen e Islam ki Rahmate,
Alhamdulilah Aysa Nahi hai,jaisa ke Baaz Batil Mazahib ke logo ke Paas koi Marne ke Baad Na Rone wala hota hai,aur Na hi Mayyit ko Kandah Dene wala hota hai,Sab Logo ko Rone aur kandah pakadne,etc.. keliye Kiraye(Rent) per Laya jata hai,
Jabke Deen e Islam me Ek ilm Se Na Waqif Village me Rahne Wala Musalmam kisi Musalman Mayyit ke Janazah ka Kandah milne per Khushi wa Sa’adat Mandi ka izhar karta hai,
Aur ye Batil wa Be Maana Mazhab wale log Aaye din Islam per Aur Islami wa Sharee ahkamaat per Ungliya(fingers) Uthane ki Koshishe karte hai,to Hamari Unse Guzarish hai,ke Mohabbat ki Nazar se Sirf Ek Baar Islami Taleemat ko Padhle to Insha Allah Tum bhi “ISLAM WALE” hojavoge,
Bahrehal Momino Ye Islam hi Rahmat,Mohbbat,Shafaqqat wa Mawaddat wala Mazhab hai, isme hi 2 Jahan ki Bhalayi hai.
Allah Hame islam ki Haqqaniyyat Samajhne Ki Taufeeq ata kare..Ameen.

You might also like