DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : JANAZAH, DAY : 226,

Hazrat Sulaiman Bin Buredah,apne Walide Mohtaram(raziyallahuanhuma) se rivayat karte hain,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Maine Pahle Tumhe Qabro ki Ziyarat se Mana kiya tha,Lekin Ab Tum Qabro ki Ziyarat Karo,wo isliye ke Mohammed
(sallallahualihiwasallam) ko Apni MAA ki Qabr ke Ziyarat ki ijazat di gayi hai,Kyu ke Qabr ki Ziyarat Akhirat ki Yaad dilati hai.
(Vol/1,H,No :1074),
Dars :Momino to Hadees e Mubarakah se Sabit huva ke Qabro ki Ziyarat Karna Sunnat hai,aur Hamare Nabi
(sallallahualihiwasallam) ka Tareeqah bhi hai,ye Shirk Ya Bid’at Nahi hai,Baaz log Sirf Qabro ya Mazaro ki Ziyarat ka Naam ya Tazkirah sunte hi Shirk Kahte hai,Jo Ke Sahi Nahi hai,
■■ Mazaro ki Ziyarat Karne wala Mazar Wale Ko ALLAH Nahi Kahta hai,Balke Allah Ka Bandah Hi kahta hai,aur Yahi Uska Aqeedah hota hai,to Jab Bandah To Bandah hi raha,to Phir Shirk Kaha se huva…??¿¿ !!!,
●● Ladies ko Qabro ki Ziyarat ki Ijazat bhi Isi Hadees ki Raushni me Ulama e Kiram ijazat dete hain,Lekin Is Daur ke Logo ke Fitno se Bachne Keliye Ladies ko Mana kiya gaya hai,
Aur isme Ulama e Kiram ka ikhtelaf bhi paya jata hai…

You might also like