DARSE JAMIUT TIRMIZI , CHAPTER : JANAZAH, DAY : 229,

Hazrat Ubadah Bin Samit(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihwasallam) ne Farmaya : Jo Shaks Allah ki Mulaqat ko Pasand karta hai,to Allah Bhi Uski Mulaqat ko Pasand Farmata hai,aur Jo Allah ki Mulaqat ko Na Pasand karta hai,to Allah bhi Uski Mulaqat ko Na Pasand Farmata hai.
(Vol/1,H,No :1087),
Dars :Allah se Mulaqat ka Matlab”MAUT”hai,
to Bandah Nek Amal karta hai,To usko Allah ke Wade “ALLAH KI RAZA,Jannat,Jannat ki Nemate,Jannat ke Mahel etc…yaad rahte hai,jis se Hamesha Maut ke Intezar me hota hai,aur Mulaqat ko Pasand karta hai,
Aur Jo Bandah Nek Amal chid de ya Islam hi Qubool Na kare to Dunya me Pad jayega aur Nek Amal chod dega to Ab Uske paas Jahannam aur Dard Naak Saza zahen me hoti hai, to wo Maut se Darta rahega aur Usko Na pasand karta rahega..
Khulasah ye ke..Rab se Pasand Wali Mulaqat ki Tayyari Dunya me hi karlena hai,Na Ke Dunya keliye karna hai..Warna …!!!

You might also like