GHUSL(BATH) KA MASNOON TARIQAH WA MASAYIL

GHUSL KI TAREEF : Insaan ka Apne Badan per Paaki ya Qurbat(sawab) Hasil karne ki Niyyat se Badan per Kulli aur Naak Me Paani Daalne ke saath Makhsoos Andaz me Paani Bahane ka Naam “Ghusl” kahlata hai,

Ghusl ke Bare me Quran e kareem me aya hai,

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِذَا قُمْتُمْ إِلَى الصَّلَاةِ فَاغْسِلُوا وُجُوهَكُمْ وَأَيْدِيَكُمْ إِلَى الْمَرَافِقِ وَامْسَحُوا بِرُءُوسِكُمْ وَأَرْجُلَكُمْ إِلَى الْكَعْبَيْنِ ۚ وَإِن كُنتُمْ جُنُبًا فَاطَّهَّرُوا ۚ وَإِن كُنتُم مَّرْضَىٰ أَوْ عَلَىٰ سَفَرٍ أَوْ جَاءَ أَحَدٌ مِّنكُم مِّنَ الْغَائِطِ أَوْ لَامَسْتُمُ النِّسَاءَ فَلَمْ تَجِدُوا مَاءً فَتَيَمَّمُوا صَعِيدًا طَيِّبًا فَامْسَحُوا بِوُجُوهِكُمْ وَأَيْدِيكُم مِّنْهُ ۚ مَا يُرِيدُ اللَّهُ لِيَجْعَلَ عَلَيْكُم مِّنْ حَرَجٍ وَلَٰكِن يُرِيدُ لِيُطَهِّرَكُمْ وَلِيُتِمَّ نِعْمَتَهُ عَلَيْكُمْ لَعَلَّكُمْ تَشْكُرُونَ

(Al Quran,Surah,Maidah :6),

GHUSL KE FARZ HONE KI SOORATE :

Humbistari(Jima) ke baad,

*Mani ka Shahwat se Nikalne ke Baad,(Humbistari se ho ya Baghir Humbistari)

*Ehtelam (Neend yani Khaab me Mani(seeman) ka Nikal jana) ke Baad,

*Wati ( peeche ke raasteh se sohbat karna) Aurat ke saath ho ya Mard se,

*Aurat(lady) ka Haiz(Monthly Period) Rukne ka baad,

*Nifas (Blood which come after Deleivery) ke Rukne ke Baad,

Yaad rahe Musalman Mayyit Ko Ghusl Dena Musalmano per Farz E Kifayah Hai.

GUSHL E SUNNAT : Jumah ke Din,Eid ul Fitr,Eid ul Azha,Ehram Hajj ya Umrah ka pahente waqt,etc

GHUSL E MUSTAHAB : Shabe Qadar,Shabe Milad,Shabe Barat,Shabe Meraj,yani Har Barkat wale Din wa Raat ke Mauqeh per Ghusl karna Sunnat hai,Makkah,ya Madeenah me Dakhil hote waqt etc..

GHUSL KA TARIQAH : Pahle Ghusl ki Niyyat karle : MAI PAAK HONE AUR SAWAB HASIL KARNE KI NIYYAT SE GHUSL KARTA HOON agar Arabi Zuban me Karna chahe to karsakte hain,

نَوَیتُ اَن اَغتَسِلَ مِنَ الجَنَابَةِ لِرَفعِ الحَدَثِ

Niyyat Koi Bhi Zuban me Karsakte hai,uski Ijazat hai,baaz log Arabi ke Alawah sahi Nahi hoti kahte hai,aysa Nahi hai,

Phir     بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم  padhkar Baye Haath (left Hand) se Lote me Pani lekar Seedhe Haath(Right Hand) ko Dhole aur Seedhe Haath se Baye Haath ko dhole,Bucket hoto Is andaz me Lota(jug) ander dale ke Haath Mukammal Andar Na jane paye to ziyadah behter hai,take haath me lagi gandagi Paani me dakhil na hone paye,dono haath Pahonche tak dhole,

*Badan ke Makhsoos Aaza ko dhole jahan Najasat(gandagi) lag ho,

*Wazu Karle,saath me Sar(Head) ka masah bhi kare,isme wazu ki Duae Na padhe aur Wazu ka Paani Na piye,

*Sar per is tarah Paani(water) dale ke saare sar ke Baal(Hair) Bheeg jaye aur paani har baal tak pahonch jaye,(ladies ke baal ziyadah ghane ho aur choti bandhi huvi ho to Jad tak Paani pahonchana kaafi hai,Choti Kholna Zaroori Nahi hai),

*Khawateen keliye Kaan(ear) ki Baali(ear Ring) ko Harkat karke Paani pahonchana zaroori Hai,

*Phir Daye Mondhe(Right Sholder) per 3 Baar Paani dale

*Phir Baye Mondeh per 3 Baar Paani dale,

*Phir Saare Badan is tarah paani dale ke Sara Badan Tar hojaye aur Paani Tapakne Lage,Saare Badan ko Haatho se Male koi Khushbu wali jadi Booti ya Soap bhi istemal karne ki ijazat hai,

*Phir Sar aur Saare Badan per Paani dal le to Ghusl Mukammal hojayega,

Yaad rahe ke Ghusl me 1) Kulli Karna, 2) Naak me Paani Dalna,  3) Tamam Badan per Paani Bahana Farz Hai,

isme se koi Ek cheez bhi Choot jaye to Ghusl hi Nahi hota hai,lehaz Pahle Wazu karle to 2 Farz shamil hojayenge,

Note :Agar Koi wazu ke baghir ye 3 farz Ghusl me mukammal karle to Ghusl hojata hai,

Barhana Ghusl karna Munasib Nahi hai,haan,agar Barhana koi Ghusl karle to Ghusl hojata hai,

 

 

You might also like