DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : KHANE KE AHKAM, DAY : 334,

Hazrat ALI (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne Khaibar ke Waqt Hame Nikah e Mut’ah se aur Gharelu Gadhe(Paltu Gadhe) ka Gosht khane se Mana farmaya.

(Vol/2,H,No : 1906),
Dars : Ibteda e Islam me Sahaba e kiram (raziyallahuanhumajmayeen) Jango ke Mausam me Kayi Mahineh aur Saal Gharo se Baher raha karte to us waqt Aap sallallahualihiwasallam ne Nikah e Mut’ah (Waqti taur per kuch din keliye Maher ke saath Nikah karna) ki ijazat di thi,Lekin Baad me Aap hi ne Us Se Mana farmaya hai,
Afsos ki Baat hai,ke Shia Log Aaj bhi usko Jayiz qarar dete hain,Jab ke islam me Nikah e Mut’ah ki koi gunjayish wa ijazat Baaqi Nahi hai,
●● Baaz Firqeh Nikah e moaqqat(Contract Marriege) ki bhi ijazat dete hain,jo ke Islam me Na jayiz hai,
Allahu Akbar Kabeera….!!!
■■ Gharelu Ghadeh yani Jo Gadhe gharo me pale jate hain,unko khane se mana kiya gaya hai,
Allah hame nek taufeeq de..Ameen.

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like