DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER :KHANE KE AHKAM,DAY : 350,

Hazrat Abu Juhaifah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) ne Sahaba se farmaya : Ab Rahi meri Baat to Mai Tek(by supporting) lagakar kabhi Khana Nahi khavunga.
(Vol/2,H,No :1946),
Dars : Is Hadees e paak me Tek laga kar khane se mana kiya gaya hai,
Ab Tek lagakar (support) khate waqt 2 cheezo se aksar teka liya jata hai,
Ek Haath se tek lagana aur doosra Peet(Back) se tek lagana !
●● Peet(Back) se Tek Lagane ki Baaz awqaat jaise kisi ke paas Kursi(chair) per hi khane ka intezam ho,Ya Kisi ko pairo me dard yani Beemar ho to ayse logo ko Peet se tek lagakar khane ki ijazat hai,Warna ye sunnat ke khilaf hoga,
■■ Haath(Hand) se Tek lagane me to Baye Haath(left Hand) ko istemal kiya jata hai,to Baye Haath se tek lagakar khane se mana kiya gaya hai,
Haan,Beemar ho ya Budhape(oldage) ki wajah se kamzori aagayi ho to ab uski ijazat hai,
☆☆ Hikmat : Deen e islam Tek Lagakar khane se isliye rokta hai,ke Tek Lagakar Khana Mutakabbireen ki Alamat hai,Takabbur karne wala Tek laga kar khata hai,to us se rokne keliye tek laga kar khane se mana kiya gaya hai,
Ek Musalman ko khana khate huve Takabbur se Nahi Balke Shukr karte huve khana chahiye,is Shukr ki Barkat hi hai,ke Aaj Musalman ke Ghar me Barkat Nazil hoti hai,
●● Khana khate waqt aur Acha khana khilate waqt bhi takabbur se manakiya gaya hai,kyu ke Aaj kal ye Mahol Bana huva hai,ke Umdah aur Kayi qisam ke khane Banakar log Takabbur se uska izhar karte hain,to Deen e islam me is se bhi Mana kiya gaya hai.
Allah hame Takabbur ki har choti Ada se bhi mahfooz kare..Ameen.

Plz..Share it to All,for more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like