DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER :KHANE KE AHKAM,DAY : 352,

Hazrat Alqamah,Apne Walid e Mohtaram

(raziyallahuanhuma) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab Ghar me Gosht khareed kar laye to usko Shorbah Ziyadah banaya karo kyu ke agar kisi ko Gosht Na mil sake to uska Shorbah mil jayega aur Shorbah bhi Gosht ka Hissah hi hota hai.
(Vol/2,H,No :1948),
Dars :Is Hadees e paak me Qina’at yani Har Choti ya thodi Cheez per Razi hokar Allah ka shukr Baja lane ki taleem digayi hai,
●● Gosht ka Hissah ka Matlab Gosht me jitne Protien ya Vitamins hote hain,wo saare Gosht me bhi paye jate hai,
■■ Achi Ghiza ka istemal ka ek musalman ka Bunyadi Maqsad Sirf Badani taqat ka hasil karna hi Nahi hai,Balke us sehat Mand badan wa Jism ko Allah ki ibadat me laga dena hai,Badan jitna Quvvat wala hoga wo utni hi Ziyadah Din ho ke Raat Allah ki ibadat me masroof rah sakta hai,Agar usko Masroof rakhe to Rahta hai, warna Us Achi Ghiza aur Mazboot Badan ki koi Ahmiyyat Nahi hai,Kyu ke Bada wa Mazboot Badan to Janwaro ka bhi hota hai…!!!!
Allahu Akbar Kabeera….
Allah hame Jismani Wa Rohaani Ibadat me masroofiyat ki taufeeq ata farmaye..
Ameen
Plz..Share it to All,for More Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like