DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER :KHANE KE AHKAM,DAY : 351,

Hazrat Ayisha Siddiqah(raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) Mithi Cheez
(sweet) aur Shahed(Honey) ko Pasand farmate.
(Vol/2,H,No :1947),
Dars : Mithi Cheeze aur Shahed Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) Bade Shauq se tanavul farmaya karte,to iski miqdar ke bare me Ulama e Kiram ne farmaya hai ke :
Mithi Cheez(Sweet) Thode Miqdar(low quantity) me khane se tabiat me Nashat
(freshness) paida hota hai,aur usko ziyadah miqdar me istemal karne se tabiyat me susti paida hoti hai,
●● Meethi Cheezo aur Shahed me Beshumar faideh maujood hote hain,iska Zaroorati miqdar me istemal Sehat ki Zamanat hota hai,
■■ Har Baat me Sirf Meethi Cheez ko Khane ko Sunnat hai,kahna hi Nahi hai,Balke Hamare uthne aur Baithne me paye jane wale Har Amal me Sunnato ko Yaad karna,aur Amal ki Koshish karna hai,Hosakta hai,ke us Yaad aur Amal ki koshish ki Barkat se hi Allah Sunnato per Amal ki Taufeeq ata karde…!!!
Allah Hame Sunnato ka Paband banaye..Ameen
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like