DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER :KHANE KE AHKAM,DAY : 355,

Hazrat Ayisha Siddiquah

(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) Bakreh ke Baazu(Hand) ka Gosht Bohat Pasand farmate,Kyu ke Wo Gosht Hazam Jald huva karta hai.
(Vol/2,H,No :1954),
Dars : Insaani Badan ki Nashonuma aur Zahiri Sehat(Health) keliye Gosht ko khane me istemal karna zaroori hai,Aur to Musalamano keliye Ye Badi Khush Naseebi hai,ke Ye Gosht bhi Aapki Sunnat samjah kar khaye to Badani Sehat aur Sawab e Sunnat bhi hasil hojayega,
●● Aaj Kal Baaz log Media me Baaz Fankaro ke tariqo ko dekh kar Tarkariya
(Vegeterians) Hi khane ko tarjeeh de rahe hai,aur Gosht khane walo ko Mujrim ki Nigaho se dekh rahe hai,to inki ye Sonch Ahmaqanah(Bewaqoof Sonch) hai,Gosht khane ke bare me tahqeeq keliye unhe chahiye ke kisi Ache Doctor se pooche to wo bhi Yahi kahega ke Gosht ka istemal Sehat keliye Mufeed hai,isme faidah kaise Nahi hoga Jisko Hamare
Nabi e Paak sallallahualihiwasallam ne tanavul farmaya hai,
●● Ek Doosri Hadees me ye aya hai,ke Taqatwar Momin Kamzor Momin se Ziyadah Mahboob hota hai,Kyu ke taqatwar Momin Kamzor Momin se ziyadah Ibadat ki Taqat rakhta hai.
Allah hame Sehat ata kare..Ameen.

Plz..Share it to All,for more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like