DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER :KHANE KE AHKAM,DAY : 354,

Hazrat Jafar Bin Amr bin Umayyah Zamri

(Raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Unke walid e Mohtaram ne Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ko dekha ke :Ghar me Bakri ka Gosht Bana huva tha to aapne us Bakri ke Baazu
(Hand) ko Chaqu(Knife) se kaata phir usko Tanavul farmaya aur Namaz keliye tashreef legaye,Phir dobarah Wazu Nahi banaye.
(Vol/2,H,No :1952),
Dars : Is Hadees e paak se kayi cheeze malum hoti hain,un me se ye ke ;
■■ Pake huve Gosht ko Chaqu(Knife) ke kaat kar khaya ja sakta hai,uski ijazat hai,ibteda me aysa khane se mana kiya gaya tha,lekin baad me uski ijazat dedi gayi hai,
●● Gosht ko Chaqu se Cut karna hai,Magar us gosht Wyse hi yani chaqu se moo(mouth) me daalna Nahi hai,Balke usko Bartan me daal kar Haath se khana hai,
■■ Is Hadees se ye bhi malum huva ke Pake huve gosht khane se wazu Nahi toot ta hai.
Allah Hame Amal ki taufeeq ata kare..
AMEEN..
PLZ..Share it to All,for more visit our islamic web site…anwaarulislam,com.

You might also like