DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER :KHANE KE AHKAM,DAY : 356,

Hazrat Anas Bin Malik(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Qabeelah Urainah se Kuch Log Madeenah Munawwarah Aaye to Kuch Dino Baad unki Tabiyat Kharab hone lagi to Wo Log Nabi e Akram

(Sallallahualihiwasallam) ki Bargah me us beemari ki Shifa ke Bare me sawal kiye to Aapne farmaya :Sadqeh ki Wunto(Camel) ke paas javu aur Unka Doodh(Milk)aur Peshab peelo Shifa milegi.
(Vol/2,H,No :1963),
Dars : Is Hadees e paak ki raushni me Fuqaha e Kiram Ye maslah ka Hal nikalte hain,ke :
●● Haram Cheezo jaise..Peshab,Sharab,etc..ke Zariyeh jabke Maher Tabeeb(Expert Doctor) kahe ke is Beemari ka ilaj(Treatment) usi Haram Cheez me ho to Zaroorat ke Had tak hi us Haram Cheez ko istemal karne k ijazat hai,zaroorat se ziyadah ki ijazat Nahi hai,
■■ Baaz Fuqaha ne Har Haal me Haram Cheezo ko Dawa ke taur per istemal.karne ki ijazat Nahi diye hain,
☆☆ Madeeneh Ki Faza ?
Qabeelah Urainah Walo ko Madeeneh ki faza me Beemari is Tarah ayi thi ke Unke Rang Badalne lage the,aur Bechaini horahi thi..
Wo isliye tha ke wo log*MUNAFIQ* the,kyu ke Jaise hi wo log Un Wunto ka Doodh aur peshab peeliye the to Wo log Sehat mand hogaye the,Lekin phir Wo Un Wunto ko Bhagar legaye to Baad me sahaba e kiram (raziyallahuanhumajmayeen) ne unko pakad kar Saza dilwayi thi…
To Malum huva ke Madeeneh ke Faza Aashiqo ko Bhaati hai,Munafiqo ko Nahi Bhaati hai.
Allah hame Madeeneh ki ziyarat ata kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like