DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER :KHANE KE AHKAM,DAY : 357,

Hazrat Salman(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Khane ki Barkat Ka Zariyah ye hai,ke Khane se Pahle Haath,Mooh(Mouth) dhoya kare aur Khane se Farigh hone ke Baad bhi Haath aur Mooh(Mouth) dhoya kare.
(Vol/2,H,No :1964),
Dars :Khane me Barkat ki Kayi Aqsaam hoti hai,Unme se chand ye ke :
■■ Khane me Barkat ke Zariyeh ke asbaab me ye kaha gaya ke Khane se pahle aur Baad me Haath aur Mooh wash karlena hai,jis se Haath aur Mooh me paye jane wale jarasim(Bacteria,etc..) khatam hojate hai,aur us se Barkat *SEHAT* ki Shakal me Naseeb hoti hai,
●● Jab Sehat mil jati hai,to phir Sehat se Barkat *Ibadat* keliye *Taqat* me Kasrat ki Shakal ikhtiyar karti hai,Yani Ab Barkat ki soorat *Ibadat me Kasrat hoti hai,kyu ke Sehat jis ke paas ho to Ziyadah Ibadat karna uske liye Aasan hojata hai,
☆☆ Is Hadees e Paak me Musalmano keliye Nazafat(Pakeezgi) ki Tarbiyat ki gayi hai,ke Har Haal me Paak wa Saaf rahna Musalmano ki Alamat hona chahiye.
Allah Saare Musalmano ko Pakeezgi apni Alamat banane wala banaye..Ameen.

Plz..Share it to All,For more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like