DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : LIBAS , DAY : 314,

Hazrat Jabir Bin Abdullah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ne Ghar me Tasveer(Photo) lagane se aur Tasveer Banane se Mana farmaya hai.

(Vol/2,H,No : 1853),
Dars :Islam me Kisi bhi Jaandar ki tasveer ghar me lagane yani Deevar,etc..per latkane se Mana kiya gaya hai,chahe wo Insaan ki tasveer jaise..Walidain ya Peer wo murshid,ya kisi Jaandar yani Haivaan jaise Sher(Tiger) etc…ki tasveere deevar Per Nahi latkana chahiye..
■■ Taveer Ki Qisme : Tasveer ki 2 Qisme hai,
1)Wo Tasveer jo Haath se Banayi jaye jisko Painitng(Drawing) kahte hai,is tasveer ko bila kisi ekhtelaaf ke Ulam e Kiram ne Na Jayiz qarar diya hai,
2) Wo Tasveer jo Camera ya Mobile se li jaye isme Ulama ka Ekhtelaaf hai,ke Baaz ne isko Jayiz Qarar Diya hai,aur Baaz ne Na Jayiz aur Zaroorat ke waqt jaise Passport banvana ho etc…ke mauqeh per inhone uski ijazat di hai,warna Nahi,
●● Saare Ulama ka is baat per ittefaq hai,ke tasveer Haath ki ho ya Camera ki usko Ghar me latkana Jayiz Nahi hai,kisi ne bhi uski ijazat Nahi di hai,
■■ Tasveer Haath se banana jayiz Nahi hai,

Plz..Share it to All,for more visit our web site…
anwaarulislam,com.

You might also like