DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : LIBAS , DAY : 321,

Hazrat Abu Saeed(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihwasallam) Jab bhi Naya Libas pahente to ye Dua padha karte :
اللهم لك الحمد أنت كسوتنيه أسألك خيره وخير ما صنع له وأعوذ بك من شره وشر ما صنع له
(Allahumma Lakal Hamdu Anta Kasavtaneehi As’aluka Khairahu Wa Khaira Ma Suni’a Lahu,Wa Awuzu Bika Min Sharrihi Wa Sharri Ma Suni’a Lahu.)
(Vol/2,H,No :1873),
Dars : Deen e islam hi Saari dunya me ek Wahid Deen hai,jisme Har Amal se pahle uski koi na Dua rakhi gayi hai,us dua ka Bunyadi maqsad *BANDEH KO ALLAH KI YAAD(ZIKR) DILANA HOTA HAI*
taake Bandah Apni Ajizi se Allah ki Badhayi wa Kibriyayi Bayan kare aur wo kaam Manzile Maqsood tak pahonch jaye,
Ab ye jo dua New Libas pahente waqt padhna hai,uske kayi faideh hai,jin me se chand ye hai,
■ Sunnat Ka sawab milega,
■ Buri Nazar se Mahfooz honge,
■ Kapda Kaafi Dino tak Salamat rahega,
■ Allah ka Shukr Ada hoga aur Nemato me Mazeed izafah hoga,etc,etc…..
Allah hame Har Haal me tera Shukr bajalane walo me se banade…Ameen.

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site… anwaarulislam,com.

You might also like