DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : LIBAS , DAY : 320,

 

Hazrat Umme Salamah(raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,Rasool e akram
(Sallallahualihiwasallam) Kurtah(Qamees) ko Ziyadah pasand farmakar Pahna karte.
(Vol/2,H,No :1868),
Dars : Mohaddiseen e kiram ne aapke Qamees ki tashreeh farmayi hai ke :
Wo Ghutno se Neeche Huva karti,aur Aasteen Kalayi tak huva karte,aur aapka Kurtah Saare Badan ko Dhaka huva hota,
■■ Deen e Islam me us Libas ko badi Ahmaiyyat di gayi hai,jisme Saara Badan dhak jaye,aur Badan ke Aaza(parts of body) zahir hone na paye,kyu ke Libas ke Meaning hi Chupana hai,Jab koi libas Badan ke Aaza ko Chupa na sake to wo Libas hi Nahi kahlayega,
Ye Hukm Mard aur Aurat dono keliye hai,
●● Deen e islam me Musalmamo ko Khaas kar Namaz ke Waqt bhi Zeenat yani Acha,Pakeezah Libas pahen ne ka hukm diya gaya hai,
(Al Quran,Vol/8),
Agar koi Namaz Baniyan per hi ada kare to Ye Allah ke hukm ki Tauheen hogi,aur Namaz to Karahat ke Saath hojayegi,lekin bandeh ko Acha libas oahen kar Ibadat karni chahiye.
Allah hame Tere Ibadat ki Azmat bajalane wala Banaye….Ameen.

Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site….anwaarulislam,com.

You might also like