DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : LIBAS , DAY : 327,

Hazrat Ayisha Siddiquah(raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihwasallam) ne Mujh se farmaya :Agar Tum (Jannat)me mujh se Milna chaho to Dunya me is tarah zindagi guzaro jaisake ek Musafir safar ke dauran kisi maqam per khane keliye taherta hai,phir wo us maqam ko chod deta hai,
Dawalat Mando ke paas Na baitha karo,
aur Jab tumhare Kapde phat jaye to unme Pewand dal kar pahna karo.
(Vol/2,H,No :1891),
Dars : Is Hadees e paak me Rifaqat e Rasool sallallalahualihiwasallam ke asbaab bayan kiye gaye hai,
■■ Dunya ki zindagi ka waqt utna hi samajhna hai,jitna waqt koi musafir kisi maqam per kuch lamho keliye ruk kar aage nikal jata hai,lehaza dunya ka waqt bhi kuch lamhe hi hai,aur Aakhirat Hamesha ki Manzil hai,
●● Dawalat Mand logo se jitna door rahenge utna Qalbi Sukoon payenge,kyu ke ek Ameer aadmi Hamesha logo ke saamne apni dawlat ke charche karta phirega ke…
$ Mera Ghar itne paiso ka hai…
$ Mere Aur mere Bacho ke kapde itne qeemti hai…
$ Mere Bacho ki Shadi me Ye ye…items banaya tha…etc..etc..
Jis ki Baato se ek Ghareeb aadmi ke dil me shaitan Na Shukri paida karta hai,lehaza unse doori hi behter hai,
■■ Pewandaar kapde pahen na Aajizi ki Alamat hai,Bewa se Nikah karna Sunnat hai,aur bhi kayi baate hain,jo sunnat me se hai,Lekin aaj Hamare Moashreh me in Kaamo ko bohat hi Buri wa Neechi Nigaho se dekha jata hai,is tarah Bura Samajhna Sahi Nahi hai,
Behrehal Jo In Baato per Amal karega to Allah usko Jannat me Rasoolullah Sallallahualihiwasallam ki rifaqat se nawazega(insha Allah),
Allah hame Dili(Hearty) wa Zubani taur per islami taleemat per Amal karne ki taufeeq ata kare…Ameen.

Plz…Share it to All,For more Visit our islamic web site…anwaarulislam,com.

You might also like