DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : LIBAS , DAY : 326,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab Tum Juta(shoe ya chappal) pahno to Seedhe Pair(Right Foot) se Shur karo,aur Jab Juta Utaro to Baye Pair(left Foot) se utaro,Ta ke Uski shuruwaat Seedhe pair se hojaye aur Uska ekhtetam baye pair se hojaye.
(Vol/2,H,No :1890),
Dars : Ye Islami tarbiyat hai,jo 2 jahan me insaan ko kamiyab ban deti hai,so
Seedhe pair se juta pahenne ke bohat se faideh hain,jin me se baaz ye hai hain :
●● Sunnat ka sawab milta hai,yani Ibadat bhi hojati hai,
●● Pairo ki Salamati hoti hai,ke wo us din Haadso se Mahfooz hota hai,
●● Us Din Gunaho ke maqamaat per jane se pair Aage nahi badhte hain,
●● Us Din Pair(legs) Nekiyo ki taraf badhte hain,
●● Sunnat ki Barkat se Us din Namaz yani Qiyam me Lutf aata hai,etc..
Allah hame Sunnato per Amal karne ki taufeeq ata farmaye…Ameen.

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site…anwaarulislam,com.

You might also like