DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : LIBAS , DAY : 328,

Hazrat Huzaifah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihwasallam) ne Meri Pindli ko aapki pindli se qareeb kiya aur farmaya ke Ye (pindli ke neeche tak) aur Takhno ke oper tak Paijamah Pahen na hai,Takhno ke Neeche Paijamah ka koi Haq Hi Nahi hai.
(Vol/2 ,H,No : 1895),
Dars : Mard ko chahiye ke Apne Paijamah,ya paint Takhno se oper rakhe aur pindliyo ke Neeche kyu ke Hadees e paak me aya hai,jiska Paijama Takhno se neeche rahega to us hisseh ko jahannam me jalaya jayega..!!!!!
Aurato ko Takhno se Neeche hi rakhna hai,
●● Namaz se pahle Paint ya Paijamah fold karne ke bare me Ulama e kiram ka ikhtelaf hai,
Baaz kahte hain ke Paint ko ander fold karna aur Baaz Baher fold karna to uska khulasah ye hai,ke :Paint Ander fold kare ya Baher fold kare Her do soorat me Namaz hojati hai,lekin ander fold karna ziyadah behter hai,
■■ Agar Namaz me takhno se neeche paint ho to Namaz to hojayegi magar karahat ke saath hogi,aur Takhno se Neeche rakhne ki saza bhi qiyamat me usko milegi,
Noktah : Paint ya paijameh ko Takhno se oper rakhne me Ahem wajah..
*BANDEH KO TAKABBUR SE BACHANA* hai.
Allah hame Takabbur se mahfooz rakhe.Ameen.

Plz…Share it to All,for more Visit our islamic web site…anwaarulislam,com.

You might also like