DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 373,

Hazrat Muaviyah Bin Haidah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) se ek Shaks ne Sawal kiya Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) Sab se Ziyadah Husne Sulook mai Kiske Saath karu ?To Aapne Farmaya : Apni Maa se Ziyadah Husne Sulook karo,To usne Phir sawal kiya to aapne farmaya : Apni Maa,Teesri baar sawal kiya to aapne farmaya apni Maa,Jab Chavti Baar sawal kiya to aapne farmaya apne Walid se Husns Sulook karo,Phir sawal kiya to farmaya :Jo Qareebi Rishtehdar ho uske saath Husne Sulook karo.

(Vol/2,H,No :2018),
Dars : Is hadees e paak me Maa ka Tazkirah 3 Baar huva hai,ulama e kiram uski hikmat wa wajah farmate hai,ke :
Insaan ke Zindagi ke Bhi 3 Marhale
(stages) hote hai, 1 Bachpan,2 Jawani,3 Budhapa ,
To In 3 Marhalo me Insaan ko chahiye ke apni Maa ke saath Husne Sulook kare,ab Jo Shaks Maa ke saath Husne Sulook karega to Wo Aasani se Walid aur Doosre Qareebi aur Doorwale saare Rishtehdaro ke saath Husne Sulook karta hai,
●● Dunya ke Saare Logo ki Maa Farishtah Sifat hoti hain,Jab Awlaad Maa ki khidmat wa Mohabbat me zindagi guzarti hai,to Maa unko bhi Farishtah sifat wàle Bana deti hai,
■■ Ek Sahabi E farmaya Ya Rasoollah
Jannat ki Koi Khusoosiyat Batayiye aur uska Maqam ? To aapne farmaya :
Jannat to Tumhare Ghar me hi ghoomti hai,to sahabi ne kaha kaha per ?!
To aapne farmaya : aapki Maa ke Qadmo ke Neeche hoti hai,jaha Maa jaati hai,waha Jannat ghoomti hai…!!
Allah hame walidain ki Khidmat ki taufeeq ata kare .Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like