DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 386,Hadees No :2038

Hazrat Anas Bin Malik(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Shaks 2 Ladkiyo ki Parwarish karta ho to Wo Aur Mai Jannat me itna hi Qareeb rahenge jaise Haath ki 2 Ungliya Qareeb hoti hain,phir aapne Apne Daste mubarak ki ungliyo se isharah farmaya.
(Vol/2,H,No :2038),
Dars :Ladkiya Allah ki Rahmat hoti hain,aur wo jis ghar me paida hoti hain,to us ghar me Rizq ke darwazeh khol diye jaate hain,kyu ke Allah ne Hadees e Qudsi me farmaya ke Ladkiyo,Budho aur Chote Bacho ke sadqeh me hum rizq me izafah farmate hai,lehazah ladkiyo ko Haqeer nigaho se Nahi dekhna chahiye,
■■ 2 Ladkiyo ki parwarish Bandeh ko Jannati bana deti hai,to phir Bandeh ko bhi chahiye ke Jannat me Aala maqam keliye Ladkiyo ki munasib wa Sharee Raushni me tarbiyat karni hogi,
●● Ulama e kiram ne farmaya ke Agar kisi ke ghar me ladkiya Na ho to wo kisi Yateem Ladki ki kafalat kare to insha Allah ye Fazeelat usko bhi Naseeb hogi.
Allah hame ladkiyo ke Ahammiyyat ko samjh kar unki sahi tarbiyat karne ki taufeeq ata kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like