DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 387 ,Hadees No :2041

Hazrat Ibne Abbas(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Shaks Kisi Musalman Yateem ko Apne Khane aur Paani me Shamil karega to Allah bhi Usko Jannat ke Khaano aur Sharbato me Shamil farmayega,Shart ye ke wo Bandah Koi aysa gunah na kare jiski Maghifirat hi Na ho.
(Vol/2,H,No :2041),
Dars : Ye Maherban Rab ki Ata hai,ke Bus Yateemo ki jo Kafalat karta hai,to Allah usko Jannat ke Zamanat aur waha ki Sukoonat bhi ata karta hai,to Jo Maaldar ho unko chahiye ke Jaha kahi Yateem ho aur jin madaris me yateem bache padh rahe ho to unki taleem aur Rihayish ki kafalat lena Sab se ziyadah Afzal Amal hai,
●● NA BAKHSHA JANE WALA GUNAH :
Wo Gunah “ALLAH KI ZAAT WA SIFAAT ME KISI KO SHAREEK KARNA HAI”
Makhlooq me se kisi ko Allah ki tarah samajhna aur uski taqat wa qudrat me doosro ko shareek karne ka Naam hi shirk hai,
Yaad rahe ke Allah ke paas har gunah ki maafi Saza ya taubah ke zariyeh maaf ho sakti hai,Magar SHIRK ki Maafi kabhi bhi Nahi hosakti hai.
Allah hame shir se mahfooz kare aur yateemo ke kafalat ki taufeeq naseeb kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like