DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 390 ,Hadees No :2044

Hazrat Amr Bin Shuayb(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Jo Shaks Apne Choto per Raham Nahi karta,aur Apne Buzrugo ki Tazeem ko Nahi Jaanta wo Hum se Nahi.
(Vol/2,H,No :2044),
Dars :Hum me se Nahi ka Matlab Wo Kafir Nahi hojata hai,Balke Aysa karna Deen e islam ki taleemat me se Nahi hai,kyu ke Aajkal Kuch Deeni Malumaat rakhne wale bhi Doosre Musalmano ko “AASANI SE WO KAFIR YE KAFIR KAH RAHE HAIN…!!!”JO KE SAHI NAHI HAI,
Yaad Rahe ke :
Ek Ghair Muslim ko Musalman Banana Bohat Mushkil hota hai,lekin Ek Musalman ko kafir kah dena Sab se Aasana kaam hota hai..
Allahu Akbar Kabeera..
Allah hame is Amal se Mahfooz kare..
●● Bado ki tazeem : Bade Logo ki Tazeem Qalbi taur per bhi honi chahiye aur Amali taur per bhi..Amali taur per tazeem me Kisi Buzrug ko Sajdah Bhi Karna Nahi hai,jaise hum Namaz me Sajdah Allah ko karte hain,Sajdeh ke Alawah Bado ki tazeem me Sar ko jhuka lena aur kuch unke saamne jhuk bhi jaye to koi Haraj Nahi hai,
Lekin Baaz Ulama e kiram ne Thoda jhukne se bhi Mana farmaye hain,
■■ Choto per Raham : Aaj ki Hukumate Choto ko Lakdi se Na maarne ka qanoon kuch saal pahle schools etc..me nikali hain,Lekin Deen e islam ne to 1400 saal se kuch saal pahle hi Chote Bacho ko Maarne aur unko Har Choti Baat per Ghussah karne se Mana kiya hai,Ye hai,Deen e islam ki khoobiyo me se ek khoobi …
●● Haan,Jaha Namazo aur Akhlaaqi tarbiyat ki Baat ho to kayi Baar samjhane ke Baad bhi Na samajh rahe ho to 10 saal ki umar(10th year age) me Bacho ko kabhi ek Baar Haath se Maarne ki ijazat hai,Baar Baar marne ki ijazat Nahi hai,kyu ke Baar Baar maarne se Bacho ka Dil sakht hojata hai,
Allah hame islami taleemat per Amal ki taufeeq ata kare…Ameen.
Plz.. Share it to All,for more visit our isamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like