DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 389 ,Hadees No :2043

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ki Mahfil me Aap se mulaqat keliye ek Zayeef(Badi Umer wale) Shaks Aana chahe to Sahaba e kiram(raziyalkahuanhumajmyin) ne unkeliye Raastah diya,to Aap Sallallahualihiwasallam ne farmaya :Jo Shaks Choto per Raham Nahi karta,Aur Bado ka Ehteram Nahi karta wo Hum me se Nahi hai.
(Vol/2,H,No :2043),
Dars :Ye Deen e islam ki khoobiyo me se hai,Chote Bacho per Raham wa Shafaqqat ki jaye aur Bade wa Buzrugo ka ehteram wa Tazeem ki jaye,jo aysa karta hai,to uske Budhape me bhi doosre uski tazeem wa ehteram karenge warna Ruswa hona padega,
■■ Ye Tazeem wa Raham Har mazhab walo keliye karna hai,Inhi Akhlaaq ki wajah se kayi ghair muslim Musalman hojayenge..Insha Allah,
Bus ya Train me seat per Baithe ho aut saamne kamzor wa Naheef Buzrug khade ho to unko Apni Seat per bithana hi islami Akhlaaq hai,gharz ke har kaam me bado ka khayal karna hai,
●● Chote bacho per Jahan shafaqqat karna hai,waha zaroor shafaqqat kare,lekin jaha Bhalayi aur Burayi ki haqeeqat samjhana ho to Ache andaaz me aagah bhi karna hai,tab hi Nayi Nasl aage badhegi..
Allah hame islami Akhlaaq apna ne Wala banaye…Ameen..
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like