DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 394,Hadees No :2050

Hazrat Jareer Bin Abdullah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,MaineRasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ke Daste Mubarak per Namaz Qaim rakhne,Zakat Ada karne aur Har Musalman ke saath Bhalayi karne per Bai’at ki hai.
(Vol/2,H,No :2050),
Dars :Ye Bai’at Saare Ummat keliye Amal ki taraf Rahnumayi karti hai,ke Har momin,Namaz Padhe,Zakat ada kare,aur Har Momin Ke Saath Bhalayi ka karna hai,Bhalayi Kalam se Bhalayi Khaam se aur Bhalayi Apni Niyyat se bhi…
●● Ulama e Kiram ne farmaya :Pahle Namaz ka Phir Zakat ka aur Akhir me Momin ke Saath Bhalayi wa Khair Khahi ka zikr aya hai,to uski tatbeeq ye hai,ke Agar koi Banadah Namaz padhe aur Zakat bhi de magar wo Momin ke saath khair khahi Na kare to Uski Namaze ò0 Zakat Qubool Nahi hogi,jab tak ke wo Momino ke Saath bhalayi na kare,
Deen e islam Har Amal ki ek Ahmiyyat hoti hai,usko usi waqt ada karna hota hai.
Allah hame Har Momin wa Muslim ke saath Bhalayi karne ki taufeeq ata kare..Ameen..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like