DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 398,Hadees No :2054,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Ek Musalman Doosre Musalman keliye Ayinah(Mirror) ki Tarah hai,To phir agar kisi me koi Ayb Wa Khami Nazar aye to usko door kardo.
(Vol/2,Hadees No :2054),
Dars : Ek Momin doosre momin keliye ayineh ka matlab jab koi apna chahrah Ayinah me dekhe phir chahrah pe koi daagh ya Dhabba Nazar aye to wo shaks usko door kardeta hai,ya door karne ki koshish karta hai,Na ke wo us dhabbe ke bare me kisi se baat karta hai,
Lehaza isi tarah jab hum bhi kisi me koi Ayb,Kami,ya khami me dekhe to usko doosro ke saamne batane ke bajaye Usko us se door karne ki koshish karna chahiye kyu ke wo Hamara islami Bhai hai,Bhai ke Khami,wa ayb to hamara hi hota hai,
■■ Ek Doosri Hadees me aya hai,ke Kisi ke Aybo ko Doosro ke Saamne Bayan karne wala Jahannami hai…
Allahu Akbar Kabeera…
●● Jo is Baat per Amal karega to usko doosre Muttahid rahne ka saleeqah bhi mil jayega..insha Allah.
Allah hame doosro ke Aybo ko nikalne ya pahlane se Mahfooz kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like