DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 399,Hadees No :2055,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Musalman kisi Doosre Musalman ke Dunya ki Ek Museebat ko Door karta hai,to Allah us Bandeh ki Akhirat ki Museebat ko Door karta hai.
(Vol/2,Hadees No :2055),
Dars : Zindagi 2 Tarah ki hoti hai,Ek Dunya ki Zindagi aur Doosri Akhirat ki Zindagi,In hi ko 2 jahan bhi kahte hain,lehaza in Dono me Hamesha wali zindagi wa jahan,Akhirat ki Zindagi wa Akhirat wala jahan hai,
Phir dunya ki Zindagi wa Museebate wa Mushkile bhi Waqti wa Aarzi hi hoti hai,Hamesha rahne wali Nahi hain,to Jo Is Aarzi Zindagi ki Museebato ko kisi musalman se Door karta hai,to Allah us Madadgar ki Akhirat ki Museebat ko door karta hai,to phir wo Museebat uske baad kabhi laut kar Nahi ayegi,
●● Dunya me Kisi ki Madad karna bhi Museebat ko door karne ke Barabar hai,Bus Alfaz alag hain,Magar Maana dono ka Ek hi hai,
■■ Agar Kisi ki Madad Nahi karsakte aur kisi ki Museebat door Nahi karsakte to kam se kam uska mazaq Na udana aur usko apne Zuban se Alfazi ladiyo se Pareshan Na karna bhi uski Androoni taur per Madad karna aur Museebat door karne ke Barabar hai,
Allah hame Amali wa Qali Doosro ki Madad karne wala banaye…Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site…anwaarulislam,com.

You might also like