DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 415,Hadees No :2073,

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab Koi Malik apne Be Qasoor Khadim per Kisi Baat ki Tohmat lagaye to Qiyamat me Us Tohmat lagane ka Badlah(Hadd) diya jayega,agar Wo Malik apni Baat pe Sacha ho Badlah Nahi diya jayega.
(Vol/2,Hadees No :2073),
Dars : Ye Hukm Har Us shaks pe lagta hai,jiske paas Apno se ziyadah taqat ho,agar wo apni Taqat ka Sahi Maqam pe istemal na kare to kal qiyamat me uska Badlah diya jayega,
■■ Office me Boss,School me Teacher,Shop me Owner etc..in sab logo ko Apne Mansab ka Sahi istemal karna chahiye agar wo apne Mansab me doosro ke saath khiyanat kare to unke Har Amal ka Badlah diya jayega jo ke unke liye Bada Takleef wala hoga…
Alla hame Amanat wa Ikhlas ke saath zindagi guzarne wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamc web site..anwaarulislam,com.

You might also like