DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 416,Hadees No :2075,

 

Hazrat Abdullah Ibne Umer(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Ek Shaks ne Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam)se Sawal kiya ke Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) Mai Mere Khadim ko kitni Baar Maaf karu ?
To Aapne Farmaya : Har Din 70 Martabah Apne Khadim ko Maaf karo.
(Vol/2,Hadees No :2075),
Dars : Maaf karne me Rahmat chupi hoti hai,aur Bando pe Raham karne ko Allah Bohat Pasand farmate hain,isi liye ek doosri Hadees me aya ke :Maaf karna Badi Dawlat hai,
●● Maaf karne ko Arabic Zuban me “AF’WU” kahte hai,Jo Bandeh Ko Sabar ki taleem deta hai,aur Bandeh se Ghusseh ko Kam karta hai,Yani Bandeh ko Ache Akhlaaq per Aamadah karta hai,
■■ Insaan ki Khaas khoobiyo me se Ek Khaas Khoobi “MAAF KARNA HAI,KYU KE HAR BAAT PE INTEQAM LENA HAIWAN WA JANWARO KI SIFAT HOTI HAI”
☆☆ Gharelu Jhagdo ka Hall ? Gharwalo ki Har Choti Ghalatiyo ko Nazar Andaz karna aur Maaf karna hai,
Haan,Jahan Ghalati ki Nashandahi karna ho to Ache Andaz me karna chahiye..
Allah hame Maaf karne wala Banaye Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like