DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 431,Hadees No :2092,

 

Hazrat Abu Mas’ood Ansari
(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Shaks apne Ghar walo per Jo Bhi kharch kare to usko Uske Badleh Sadqeh ka Sawab diya jata hai.
(Vol/2,H,No :2092),
Dars : Ye Deen e islam hi hai,jo Bandeh ko Apne Gharwalo ke Huqooq ki taleem deta hai,ke Gharwalo ka har etebar se Munasib khayal rakha jaye,Taake wo Gharelo Rahat pa kar,Deeni Ibadat aur Dunyavi Taleemi Mehnat me Kamiyab hosake jiska Ajr usko Aakhirat me bhi Sadqeh ki Shakal me Naseeb hoga,
●● Aaj Har Mulk me Musalman Pareshan wa Bad Haal hone ke Ba wajood Isi Deeni Tarbiyat hone ke taneejeh me Apne Gharwalo ke Huqooq ko Baja lakar Khush Haal zahir hote hain,jiski Wajah se Batil Taqate wa Dushman apne Na Paak iradeh me Na Kaam horaha hai,
Bus Dushman ka Jawab yahi hai,ke Hum Islami Taleemat ko thame rakhe,insha Allah hamara Sar Hamesha Buland hi rahega…
■■ Gharwalo per Kharch ka Matlab Be jah wa Be maqam israf wa fuzool kharchi bhi karna Nahi hai,Balke Munasib kharch karna hai.
Allah hame Amal ki taufeeq ata kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like