DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 433,Hadees No :2096,

 

Hazrat Safwan bin Sulaim (raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Shaks Bewa Khwateen aur Miskeeno ki Madad karta hai,to Wo Allah ke Paas Allah ke Raasteh me Jung karne wala ya Din Me Rozeh rakhne wala aur Raat bhar Ibadat karne wale ki Tarah hota hai.
(Vol/2,H,No :2096),
Dars : Bewa Khatoon aur Miskeen ayse log hote hain,Jinko Kisi ke madad wa Saath ki Bohat Sakht zaroorat hoti hai,to jo unki Apne Maal ya Kaam se Madad karta hai,to Allah ayse Bando ko Mujahid ka Maqam ata karta hai,
Ya Usko Din me Rozah rakhne aur Raat Bhar Ibadat karne ka Sawab ata kiya jata hai,aur ye Sawab kisi khaas din ya raat hi Nahi Balke Har Din Wa Har Raat usko iska Sawab diya jata hai.
Allahu Akbar Kabeera…!!
■■ Bewa Khatoon ki Madad : unki kayi Tarah madad ki ja sakti hai,
Apne Maal se us Bewa khatoon aur uske Bacho ki Taleem me madad kare to us se unki Zaroorat wa Taleemi tamannah insha Allah poori hongi,
☆Agar wo Nikah karne ke mauqaf me ho to us Bewa Khatoon se Nikah karle to uski waqti hi Nahi balke Zindagi bhar saath wa Madad karne ka mauqah mil jayega,ye Madad Bohat hi ziyadah behter sabit hoti hai,Ab Rahi awam ki baat to
Awam(Public) ka mat sonche Public ka kaam hi Kahte rahna hai,Aapki is Madad ke Ache Charceh to zameen per hi Nahi Balke Farishteh Aasman me karte hain..insha Allah..
Is madad me koi Talaq shudah khatoon ko shamil karle to Saari Qaum ko Sahi Dars milega..
●● Miskeen log wo hote hain,jo apni zaroorat ke Ba wajood bhi kisi se Nahi maangte hai,lehaza unko Talash karke Unki madad karni chahiye aur miskeen ke ghar me kayi Nawjawan ladkiya Nikah ke intezar me baithi huvi hoti hai,to unki bhi nikah karne ya kisi se Nikah karwane ke zariyeh madad karni chahiye,isiliye Islam me kam se kam 1,aur ziyadah se ziyadah 4 Nikah karne ka hukm diya gaya hai,Ziyadah Nikah Madad keliye hai,
Allah hame Bewavo aur miskeeno ki Madad karne wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like