DARSE JAMIUT TIRMIZI CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 436,Hadees No :2103,

 

Hazrat Abdullah Bin Amr (raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Tum me se Betreen insaan wo hai,Jiske Akhlaaq Behter ho,Rivayat karne wale ne kaha : Jabke Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne kabhi bhi Iradeh aur Baghair iradeh se bhi NA MUNASIB Baat Nahi kahi hai.
(Vol/2,H,No :2103),
Dars :Insaan ke Akhlaaq ki Tarbiyat Walidain,Ustad e Mohtaram aur Azeez wa Aqaareeb per zimmah dari hoti hai,Akhlaaq wa Aadab ki Bunyadi Baato ke Bare me Hadees me aya hai,ke :Rasool e Akram(sallallahualihwasallam) ne farmaya : Apni Awlaad ko 3 Baato ki Mohabbat per Tarbiyat karo :
1) Nabi e Paak (sallallahualihiwasallam) ki Mohabbat,
2) Ahle bait(Syed’s) ki Mohabbat,
3) Quran e Kareem ki Mohabbat per Tarbiyat karo to Awlaad Ba Akhlaaq ban jayegi,
Ye Bunyadi Baate hai,jinko in 3 Ki Mohabbat dil me Bas jaye to samjho Har Baat ki Akhlaaq ki Tarbiyat hojayegi..
●● Ummati ko Chahiye ke Wo Iradeh aur Baghair iradeh se bhi Buri Baat karne se Bachna Chahiye..
Allah hame Ache Akhlaaq Naseeb farma..Ameen.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like