DARSE JAMIUT TIRMIZI ** CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 451,Hadees No :2125,

 

Hazrat ibne Abbas(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha, Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Tum ko Gunahgar kahne keliye ye Amal Kaafi hai,ke Tum Har Baat per Hamesha Jhagda karte raho.
(Vol/2,Hadeea No :2125),
Dars : Yani Jo Bandah Har Choti Baat per Jhagda karta rahta hai,to Wo Gunahgar kahlata hai,Kyu ke uski Zuban se Logo ko Takleef pahonchti hai,to ek Momin ko Takleef dena Gunah e Kabeera me Shumar kiya gaya hai,
■■ Ghussa Har kisi ke Paas hota hai,aur Kaam me Khamiya bhi Hamesha hoti rahti hai,lekin kamal to Yahi hai,ke Khamiyo ko Nazar Andaz kare aur Ghusseh ko pee jaye to Allah ayse Bando ko “MOHSINEEN” me se Shumar karta hai,jabke Mohsineen ka Anjaam “JANNAT”hai,
●● Haan,Jaha Koi Apna Haq Na Jayiz Taur per Hasil kar raha hai,to Apne haq ko Haq se Hasil karne keliye Deen e islam me Ache Andaz se Mutalabah karne ki bhi ijazat hai.
Allah hame Jhagda karne se Mahfooz kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like