DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 461,Hadees No :2140,

 

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam)ne farmaya :
Haya Eiman me se hai,aur Eiman Jannat me le jata hai,Be Hayayi Be Eimani me se hai,aur Be Eimani Jahannam me Lejati hai.
(Vol/2,Hadees No :2140),
Dars : Haya Ki 2 Qisme me hoti hai,
1) Badan ki Haya ke Jisme Badani Aaza(Parts of Body) se koi Be Hayayi wala Amal Sarzad Na hojaye,Ke jisme Zuban aur Satar ziyadah Ahmiyat wale hote hai,aur uske Alawah jo bhi Badan ke Aaza se Be Hayayi hone ka Andesha ho to unko Haya ke Daireh me rakhna hai,
2) Dil ki Haya : Bandeh ke Dil me Jab Be Hayayi Wali Sonch Ya Khayalaat ghar karne lagte ho ya wo Hamesha Burayi ke Bare me sonchta ho to us se Uska Dil Be Haya hojata hai,jis se uski Ibadat ki Lazzat khatam hojati hai….!!
Hal…? Badani Haya ko Qayim rakhna ho to Sharee Ahkamaat per Amal Awari Lazim hai,aur Allah ka khauff bhi hona zaroori hai,
Dil ki Haya keliye Allah aur Rasoolullah
(Sallallahualihiwasalla) ka kasrat se zikr karna zaroori hai,jis se Dil ki Haya me mazeed Barkat bhi hoti hai,
Aur is per Amal karne wale ko Jannat me bhi lejati hai.
Allah hame Haya ko qayim rakhne wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site…anwaarulislam,com.

You might also like