DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 462,Hadees No :2144,

 

Hazrat Sa’ad Saaidi(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam)ne farmaya :
Sanjeedgi Allah ki Taraf se Hoti hai,aur Jaldbazi Shaitan ki Taraf se hoti hai.
(Vol/2,Hadees No :2144),
Dars : Sanjeedgi Ka Matlab :Har Baat aur Har Kaam ko Sonch Samajh kar Uske Faideh wa Noqsan per Nazar rakh kar karne Ka Naam hai,taake Sanjeedgi se Bandah Khudko aur Doosro ko Noqsan se Mahfooz karleta hai,Rishteh Qayim rahte hai,Dooriya khatam hoti hain,Fitnah wa fasad Barpa Nahi hota hai,etc..gharz ke Sanjeedgi se Bandah Ek Khush Haal Zindagi Hasil karleta hai,
●● Jald Baazi Shaitani Sifat hoti hai,jis se Har kaam Adhoora aur Noqsan se bhara huva hota hai,Jald Baazi se Dunyavi aur Deeni Noqsan hota hai,Jaldbazi Bandeh ko Zaleel wa Ruswa kardeti hai,
Allah hame Sanjdeegi Naseeb kare aur Jaldbazi se mahfooz kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like