DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NIKAH, DAY : 239,

Hazrat Samurah Bin Jundub(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,

Nabi e Akram(sallallahualihwasallam) ne Nikah ke Baghair Zindagi Guzarne se Mana farmaya hai.
(Vol/1,H,No :1105),
Dars : Quran e kareem me ek maqam pe Allah ne farmaya hai,ke,Hum ne Her ek Cheez ka ek Joda Banaya hai,
To insaani zindagi me Nikah Ki bohat badi Ahmiyyat hai,Aur uske Faideh bhi Bohat hai,ke Bandah Nikah karne se ..
■■ Bad Nigahi se Bach jata hai,
●● Zina se Mahfooz hota hai,ab jo Nikah ke Baad bhi Zina karta hai,to usko utna Hi yani Qiyamat me Saza bhi Dugni(Double) di jayegi..!!!!!
■■ Har Kaam me Khushu wa Khooshi Naseeb hoti hai,
○○ Zimmah dar Banta hai,
♢♢ Awlaad ki Nemat Naseeb hoti hai,
etc……
Lehaza Waqt pe Nikah karna ziyadah behter hai ….
Allah Nawjawano aur walidain ko Sahi sonch Ata kare..Ameen.

You might also like