DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NIKAH, DAY : 241,

Hazrat Jabir Bin Abdullah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihwasallam) ne farmaya : Ladki me Nikah keliye 3 Baato ka Khayal kare :
* Deen,
* Maal,
* Jamal (Husn),
Aur in Teeno me Se Aurat ke Deen wali Sifat(quality) Naseeb hojaye to Kaafi hai.
(Vol/1,H,No :1109),
Dars : In 3 Sifaat me Sab se Ahem Sifat Deen hai,Deen se hi Akhlaaq etc..sab baate shamil hojati hain,Jis Ladki me Deendari aajaye to Samjho ke Shohar ko 2 Jahan ki Dawlat Naseeb hogayi,
●● Maal Ka Matlab Ye Nahi hai,ke Aurat Shohar ko Maal de ya Apne Maal ka waris Banaye Balke uska Matlab ye hai,ke Nikah se Pahle Ladki ke Walid Maal wale ho to usi Etebaar se wo Apni Ladki ko Har cheez ki Sahoolat dete hai,aur Acha Khikate aur Pilate wa pahnate hai,lehaza Nikah ke Baad Shohar bhi Usi Tarah Ladki ka Kahayal rakhne keliye Ladki Ka Maal bhi Dekhna hai,
■■ Jamal : ki 2 Qisme hoti hain,
1)Zahiri Jamal,Soorat aur Badan ka Khoobsurat hona…
2) Batini Jamal ,Seerat ka Khoobsurat hona,
Lehaza Kisi me Zahiri Jamal Na bhi ho magar Batini Jamal paya jaye to Nikah keliye Bohat behter hai,agar kisi ladki me Seerat aur Soorat Dono bhi paye jaye to Ab us Bandeh keliye to uska Ghar hi Dunya me “JANNAT “hojayega,lehaza Walidain aur Gharwalo ko Chahe ke wo api Ladkiyo me Soorat ke Saath Ziyadah Tawjjuh Seerat pe de to 2 Khandano keliye Rahat wa Masarrat ka sabab hoga..

You might also like