DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NIKAH , DAY : 243,

Hazrat Ayisha Siddiquah(raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab kisi ka Nikah ho to Elan karo,aur Masjido me Bata do,aur Daff ka istemal karo.
(Vol/1,H,No :1112),
Dars : Jab kisi ka Nikah ho raha hai,to Ruq’ah (Wedding card) per Ladki aur Ladke ka Naam likh sakte hai,koi Haraj Nahi hai,aur Na likhna chah rahe ho to Nahi bhi likh sakte hai,jab ke baaz log Ladki wa ladke ka naam likhne ko Munasib Nahi samajhte hai,to aysa Kuch bhi Nahi hai,likhne ki ijazat hai,
■■ Masjid me ka matlab us zamaneh me Her cheez ka elan masjid me hi huva karta tha,lekin is daur me bohat se asbaab maujood hai,
●● Daff khushi me bajane ki ijazat hai,Music Har Haal me Haram hai,lehaza Jis Nikah ki bunyad Music se hoti hai,aur jis Nikah me Music use hota hai,to wo Nikah Barkat se Khali hojata hai….!!!!!
Allah hame sahi samajh ata kare…Ameen.

Plz..Share it to All,For kore visit our web site.
anwaarulislam,com.

You might also like