DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : NIKAH , DAY : 257,

Hazrat Wahab Bin Jaishani(raziyallahuanhu) ne apne walid se rivayat kiya,Kaha,Ya Rasoolallah

(Sallallahualihiwasallam) Ab Maine Islam Qubool karliya hai,to islam se Pahle Mera Kisi ki 2 Bahno se ek saath Nikah huva tha,to Ab kiya hukm hai ? To Aapne Farmaya : Un Dono me se kisi ek Ka Intekhaab karlo.
(Vol/1,H,No :1157),
Dars : Yani Islam me 2 Haqeeqi Bahno ka ek saath Nikah karna ya Dono ka ek Waqt me Nikah me rakhna “HARAM” hai,
(Al Quran,Surah :NISA,Ayat No :23),
Haan,Pahle ek Bahen se Nikah huva tha,Baad me Us Bahen Ka Inteqal hojaye ya Us Bahen ko Talaq hojaye to Ab uski Doosri Bahen se Nikah hojayega,Kyu ke ye Dono ek Saath Nahi hai,
●● Note : Isiliye Islam me Saali Ka apne BhaiJaan se Pardah karne Ka hukm hai,Kyu ke Saali ke Liye Bhai jaan “GHAIRMAHRAM”hai,lehaza Ghair Mahram se Hijab karna lazim hai,aur Saas keliye Damad Mahram hojata hai,
Jab ke Hamare Moashreh(society) me Ulta Chalta hai,
DAMAD SE SAAS PARDEH ME HOTI HAI,AUR SAALI BAGHAIR PARDEH ME….JAB KE SAALI DAMAD SE PARDEH ME RAHNA HAI,SAAS NAHI KYU KE SAAS AB DAMAD KELIYE “MAA” ke Darjeh me hoti hai…
Allah hame Islami Ahkamaat ko Sahi samajhne ki Taufeeq ata kare..Ameen.

Plz..Share it to All,For more Visit web site..
anwaarulislam,com.

You might also like