DARSE JAMIUT TIRMIZI , CHAPTER : NIKAH , DAY : 261,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihwasallam) ne farmaya :Agar Kisi ko kisi keliye “SAJDAH” karne Ka Hukm deta to Aurat ko Apne Shohar ko Sajdah karne ka Hukm deta.
(Vol/1,H,No :1192),
Dars :Islam me Allah ke Siwaa Kisi ko bhi Sajdah karne ka Hukm Nahi hai,
SAJDAH ki Tareef : BANDAH APNI PESHANI KO ZAMEEN PER IBADAT KI NIYYAT SE LAGANE KA NAAM SAJDAH HAI.
(Tavzeeh :Vol/1,Pg/23),
■■ Baaz Log Agar koi Tazeem keliye Thoda Jhuk bhi jaye to Shirk kahte hai,ye bhi Sahi Nahi hai,Kyu ke Bade wa Buzrugo ki Tazeem keliye Kuch Jhuk jana Sajdah Nahi kahlata hai,usko Tazeem ke taur per Ijazat hai,Ehteram ke darjeh me hota hai,
●● Bivi ko Sajdeh ka Hukm deta ….Matlab Bivi ko Shohar ke samne Sajdah karna Nahi hai,Wo Isliye kaha gaya ke Shohar ka Bada Mqam wa Darjah hai,Aur isme Shohar ki tazeem ki taraf isharah hai,
♢♢ Aurat Apne Shohar ki tazeem kare to Shohar bhi khud ba khud uski Bivi ki tazeem karna Shuru kardeta hai,Yahi in dono me Mohabbat paida karne ka Zariyah hai.
Allah sabko Apne logo ki tazeem karne ki taufeeq ata kare..Ameen.

Plz..Share it to All,For more Visit our web site..:
anwaarulislam,com.

You might also like