*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** CHAPTER : NIKAH , DAY : 269,

 

Hazrat Amr Bin Shuaib(raziyallahuanhu) ne apne walid se rivayat hai,Kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihwasallam) ne farmaya : Bandah Jis Cheez ki Taqat Nahi rakhta hai,to us cheez ke bare me Nazar(Mannat) Nahi Maan na hai,aur Jis Ghulam ka Malik Na ho usko Azad bhi Nahi karsakta hai,aur Ladka Jis Ladki ka Nikah ke zariye Malik Na Bane to usko Talaq bhi Nahi de sakta hai.
(Vol/1,H,No :1217),
Dars : Aasman ko Chune ke Nazar Maan na,Samandar ka Saara paani peena etc..ayse Kaam jisko Bandah Na karsake to us Nazar wa Mannat ka etebar Nahi hai,
■■ Apne Ghulam ko hi Azad karsakta hai,Doosre ke Ghulam ko Nahi kyu ke wo Uska Malik Nahi hai,
●● Bivi Ka Malik Ban jana : Shohar Bivi ka Malik Usi waqt Ban sakta hai,Jabke shohar ke Zahen me Nikah ke Pakeezah Rishteh ki Ahammiyyat ho,aur wo Bivi ki Har Khoobi wa Khaami ko apni Khoobi wa Khaami samjhe to tab hi Wo Bivi ka Haqeeqi Malik banjayega,aur wo Talaq to door ki baat hai,Talaq ke lafz se bhi door rahenge,
Yaad rahe ke Islam Jodne ki aur Milkar rahne ki takeem deta hai,Na ke Juda hone ki..
lehaza Shohar ki Nigah Bivi ke Rishteh per hi rahe Na ke uski Dawlat ya uske Jahez etc.. per agar pahle se hi in cheezo per Zahen banjaye to phir Kabhi us se Bivi se Shohar haqeeqi Mohabbat Nahi karsakta hai,(ILLA MASHA ALLAH),
Allah sab jodo ko Sachi Mohabbat Naseeb farma..Ameen.

Plz..Shareb it to All,For more Visit web site..
anwaarulislam,com.

You might also like