DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : PEENE KE AHKAM,DAY : 365,

Hazrat Huzaifah(raziyallahuanhu) se rivayay hai,kaha,Rasool e Akram (Sallallahualihiwasallam) ne Sone(Gold) aur Chandi(Silver) ke Bartan me Paani peene(drinking),Aur Resham ke Bareek ho ya Mote kapde pahen se Mana farmaye hain,aur Aapne farmaya :

Ye Dunya me Kafiro keliye hain,aur Aakhirat me Musalmano keliye hain.
(Vol/2,H,No :1998),
Dars : Deen e islam me Gold aur Silver ke Glasses aur Bartan me Paani peene aur Khana khane se Mana farmaya gaya hai aur is Hukm me Mard(Male) aur Aurat(Female) dono Shamil hai,
●● Resham ke Kapde ke istemal me Aurato(Female) keliye Zeenat keliye istemal ki ijazat hai,
Magar Mard(Male) keliye Ijazat Nahi hai,
■■ Ye Kafiro keliye hai……!!
Is Ek Jumleh me Saare Musalmano keliye Ta qiyame Qiyamat tak Qina’at wa Sabr aur Umeed ka dars hai,ke..:
Aaj Har Baat per Musalmano ko Ghair aur Khud apno se bhi Baaz Baato aur Cheezo se Social Media per Zahni Taur per Daraya aur Pareshan kiya jata hai,to is baare me Musalmano ko Sabr se kaam lena hoga aur Yahi Baat Zahen me rakhni hogi ke :
” DUNYA KI WAQTI SHAN WA SHAUKAT,HUKUMAT WA SALTANAT KAFIRO KELIYE WAQTI WA AARZI HAI,AUR AAKHIRAT KI DAYIMI WA HAMESHA BAAQI RAHNE WALI HAYAT WA NEMAT MUSALMANO KELIYE HAI “
aur Saare musalmano ko Allah Rahman ki Zaat per Kamil yaqeen aur Rahem wa madad ki Umeed rakhni Chahiye Na ke kisi Insaan per…
Allah hame Himmat wa Sahi Hikmat ata kare…Ameen.
Plz..Shar it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com

You might also like