DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : QASAM AUR MANNAT, DAY : 304,

Hazrat Abdullah ibne Umer(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasoole Akram

(sallallahualihiwasallam) ne Hazrat Umer(raziyallahuanhu) ko Apne walid ki Qasam khate huve paye to aap ne farmaya : Yaqeenan Allah Tumko Apne Baap wa Dada ki Qasme Khane se Mana kiya hai,Jab Qasam Khana zaroori ho to Allah ki Qasam khaye warna Khamoosh Rahe.
(Vol/2,H,No :1619),
Dars : Yani Qasam usi waqt Samjhi jati hai,Jo Allah aur uski Sifaat se kahi jaye warna Makhlooq ke Naam aur Sifaat se khayi jane wali Qasam ka shareeat me etebar Nahi hai,
■■ Ghairo ke Paas Aksar Walidain aur Doosro ke Sar(Head) per Haath rakh kar Qasam kahi jati hai,to iska Islam me koi Etebar Nahi hai,aur aysi qasme islam me*QASAM* nahi kahlati hai,
●● Har Choti Choti Baat per Qasam khana bhi Sahi Nahi hai,Zaroorat per hi qasam khana hai,Warna Nahi..
Allah hame Qasam ki Ahammiyyat ko samajhne wala banaye…Ameen.

Plz..Share it to All,for more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like